Kal kal karti nadiya ko aksar meine samjhaya hain
Rimjhim girti baarish ko kai baar batlaya hain
Chahe jahan paa sakta hoon khud ke liye sukoon
Mein azad hoon,
Mein azad hoon.
Jo chaha hain wo paya hain, iss bheed mein apna maqam banaya hain
Iss gol ghumti duniya ko meine ye dikhlaya hain
Jo thaan loon kisi kaam ko, to karr ke hi dam loon
Mein azad hoon,
Mein azad hoon.
Parr basti mein meri kuch gunde kal, ek ladki ko sata rahe the
Kabhi baal pakadte, kabhi haath wo..mujhe gusse se uksa rahe the
Mere paas pada pathar bola, ‘chal utha mujhe aur maar de tu..
Mein jaanta hoon ki azad hain tu,
Mein jaanta hoon ki azad huan tu.’
Mein stapdh waha bass achraj se ye soch raha khada khada
Iss pathar ko uthane se na hoga koi kaam bada
Parr aasoon bhari aankhon se jo jaana ab jaan le tu,
Mein kahan azad hoon,
Mein nahin azad hoon.
No comments:
Post a Comment